Utar jaate hain kuch log dil mein is kadar,
Jinko dil se nikalo to jaan nikal jaati hai.
Uske husn se mili hai mere ishq ko ye shohrat,
Mujhe jaanta hi kaun tha teri deewangi se pehle.
Duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad,
Ab mujhko nahi kuch bhi mohabbat ke siwa yaad.